BOLLYVISTA.COM
 
Lyrics

Directions

Song: Kya hua ik baat par barson ka
Movie: Teri Kasam
Music: Rahul Dev Burman
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music on: Music India

Kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya
is bahane doston ka pyar pahchana gaya
kya hua, kya hua
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya

Kya sunayen hum kisi ko, pyar ki ye dastan
kya sunayen hum kisi ko, pyar ki ye dastan
pyar ki ye dastan
jaan jaane ko hai baaki, dil to diwana gaya
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya
is bahane doston ka pyar pahchana gaya
kya hua, kya hua
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya

Unka, unke gham ka ai dil, ab karen afsos kya
unka, unke gham ka ai dil, ab karen afsos kya
ab karen afsos kya
jis ko aana tha vo aaya, jis ko tha jaana gaya
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya
is bahane doston ka pyar pahchana gaya
kya hua, kya hua
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya

Unse milne ki ijaazat, ek bas humko nahin
unse milne ki ijaazat, ek bas humko nahin
ek bas humko nahin
unse milne unke ghar, har apna begaana gaya
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya
is bahane doston ka pyar pahchana gaya
kya hua, kya hua
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya

Kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya
is bahane doston ka pyar pahchana gaya
kya hua, kya hua
kya hua, ik baat par barson ka yarana gaya

Directions


[ Home ][ Songs List ][ Audio Clips ][ Video Clips ][ Lyrics ]
[ Join Fan Club | Who is a Fan? | Links | What's New? |

Copyright © 2003 Bollyvista.com. All Rights Reserved.
Click here to go back to the previous lyrics! Click here to go to the next lyrics!